Yog jeewan ka adhar hai. Ye apki body aur mind ko tune karta hai. Jiss se apki productivity, focus aur glow me bhi improvement hoti hai. Magar kya wajah hai ki kuchh log Yogabhyas ke bawajood sust aur beemar nazar aate hain. Unhe anxiety aur mood swings hote hai. Kya unke abhyas me koi mistake rah jati hai? kya hai yogabhyas ka sahi tarika aur iss dauran kin galatiyon se bachna chahiye, Healthy Zindagi podcast ke iss episode me jante hain Yoga and spiritual guru Acharya Pratishtha se. Iss podcast ko host kar rahi hain Yogita Yadav.